Sawal Assalamu alekum kya farmate hai ulmaye ikram is masle ke bare me ki kisi kafir ke liye duwaye magfirat karna kaisa baraye karam javab inayat farmaye ain nawazish hogi faqat wassalam
Sawal karne wale ka name mo mustafa razvi puna
Al-Jawab Ba'un al-Mulk al-Wahhab
Surat e masoola me kisi kafir ke liye duwaye magfirat karna kufr hai
Jaisa ki bahrulraik me hai ki
لایجوز الدعاء بالمغفرۃ للمشرک ولقد بالغ القرافي المالکي کما نقلہ في شرح منیۃ المصلي بأن قال إنّ الدعاء بالمغفرۃ للکافر کفرٌ لطلبہ تکذیب اللّٰہ تعالی فیما أخبر بہ)
(Hawala>bahrulraik jild 01 safa no 576)
Aur allama sadarushsariyah badrud tareeqa alaihi rahma bahar e shariyat me tahreer farmate hai ki jo kisi kafir ke marne ke bad uske magfirat ki dua kare ya kisi murda murtad ko marhoom ya magfoor ya kisi hindu ko baikanth bashi kahe wo khud kafir hai
(Hawala>bahar e shariyat hissa 01 jild 01 safa no 176)
Aur aala hajrat ashshah imam ahmad raza khan fazle barelvi alaihi rahma fatawa rizviyah shareef me tahreer farmate hai ki
واقرہ الدعاء بالمغفرۃ للکافر کفر لطلبہ تکذیب ﷲ تعالٰی فیما اخبربہ
Kafir ke liye duwaye magfirat kufr hai q ki ye khabr e ilahi ke takjeeb ka talib hai
(Hawala>fatawa rizviyah shareef jadeed jild 09 safa no 176)
Katba Al abad Khaksar Nacheez Muhammad Shafiq Raza Rizvi Khateeb and Imam Sunni Masjid Hazrat Mansoor Shah Rehmat-ul-Alayh Bus Stop Kishanpur Al-Hind
0 Comments