Tashahud ke bad bismillah padhna kaisa


Sawal kya farmate hai ulmaye ikram is masle ke bare me ki tashahud ke bad agar kisi ne bismillah shareef padh diya to kya us par sajda sahu wajib hoga baraye karam javab inayat farmaye ain nawazish hogi faqat wassalam

Sawal karne wale ka name mo khurshid aalam kaushambi

Al-Jawab Ba'un al-Mulk al-Wahhab

Sajda sahu lajim aayega usne be mahal qirat ki aur qayam ke alava irkan namaz me qirat quran se sajda sahu lajim aata hai

Jaisa ki aala hajrat azeem ul barkat ashshah imam ahmad raza khan fazle barelvi alaihi rahma fatawa rizviyah shareef me tahreer farmate hai ki qayam ke siwa ruku w sujood w quood kisi jagah bismillah padhna jaiz nhi ki wo ayat e qurani hai aur namaz me qayam ke siwa kisi jagah koi ayat padhni mannooa hai

(Hawala>fatawa rizviyah jild 06 safa no 349)

Aur durre mukhtar me hai ki

يكره قراءة القرآن في الركوع والسجود والتشهد بإجماع الأمة لقوله ﷺ: نهيت أن أقرأ راكعا أو ساجدا

(Hawala>durre mukhtar jild 01 safa no 523)

Katba Al abad Khaksar Nacheez Muhammad Shafiq Raza Rizvi Khateeb and Imam Sunni Masjid Hazrat Mansoor Shah Rehmat-ul-Alayh Bus Stop Kishanpur Al-Hind

0 Comments