Sawal kya farmate hai ulmaye ikram is masle ke bare me ki agar salaam likhakar bheja jae to javaab vaajib hoga ya nahin? Jawab inayat farmaye ain nawazish hogi faqat wassalam
Sawal karne wale ka name mo munwwar ahmad
Al-Jawab Ba'un al-Mulk al-Wahhab
Khat mein salam likha hota hai aur uska bhi jawab dena wazib hai usaki do surate hai ek to ye ki juban se jawab de doosara ye ki salam ka jawab likhakar bhej de
Hawala>bahar e shariyat hissa 16 safa no 92
kisee ne khat me likha ki fala ko salam kaho to maktoob alaihi par salam pahunchana wajib nhi hai agar pahunchayega to sawab payega kisi se kaha ki fala se mera salam kah dena aur agar usne wada kar lia to salam pahunchana wajib hai agar nhi pahunchayega to gunhgar hoga kisi ne salam bheja to is tarah jawab de ki pahle pahunchane wale ko phir usko jisne salam bheja hai yani yu kahe alika w alaihissalam anwar
Hawala>al hadees safa no 300_301)
Faqat wassalam
Katba Al abad Khaksar Nacheez Muhammad Shafiq Raza Rizvi Khateeb and Imam Sunni Masjid Hazrat Mansoor Shah Rehmat-ul-Alayh Bus Stop Kishanpur Al-Hind
0 Comments