Qaza Namaz Adaa Karne Ka Tareeka?

 Sawal:-

Qaza Namaz Adaa Karne Ka Tareeka Irshaad Farmaaiye ......!!!!!!


*Jawab:-*


 QAZA NAMAAZE EK DIN KI 20 RAKAAT HOTI HAIJAYSE:


●►FAJAR ► 2-FARZ

●►ZOHAR ► 4-FARZ

●►ASAR ► 4-FARZ

●►MAGRIB ► 3-FARZ

●►ISHA ► 4-FARZ

●►ISHA ► 3-WITR


In Namazo ko siwaye

☀☞Suraj Nikalte Waqt

☀☞Suraj Doobte Waqt

☀☞Zawaal ke waqt◉

in Waqto Me Sajda Haraam Hai in Makrooh Waqto k Alaawa Qaza Namaaz Har Waqt Adaa kar Sakta Hai


 ❖●●►Aur Ikhtiyar Hai ki Pahele Fajar ki Sab Namaze Adaa kare

Fir zohar--

Fir Asar--

Fir Magrib--

Fir ishaYa●●►Sab Namaaze sath sath Adaa karta jaaye


Aur inka Aysa Hisaab Lagaay ki Baaqi Naa Rah jaaye______Ziyada Ho jaaye To Harj Nahi

QAZAA NAMAAZO KI NIYYAT

Jab Qaza Namaz ko Adaa ke liye khada Ho us waqt Uski Niyyat karni Zaroori Hai__________MASALAN____◉☞FAJAR ki Niyyat Yu kare●●►'Maine Sabse Paheli Fajar Padhne ki Niyyat ki jo Mujse QAZA Huyi Allah Ta'aala ke Liye Muh Mera kaabaShareef ki Taraf


 ALLAHU AKBAR'

●◉☞Isi Tarah Zohar-Asar-Magrib-Isha-witr-ki Niyyat kare

 JIN LOGO KE ZIMME QAZA NAMAZEN BAHOT ZYAADA HO UNKELIYE AASANI SE ADAA KARNE KI -4-SURATE HAI________TAKI WO ASANI KE SAATH QAZA NAMAZEN ADAA KAR SAKE

👇 👇 👇 👇

1:- AWWAL----FARZ ki Teesri Aur chawthi Raka'aat Me"AL HAMDU" ki jagah sirf 3 Baar"SUBHAAN ALLAH" keh kar Ruku Me chale jaye●●►Ye Kami sirf Farz ki Teesri Aur chawthi Raka'aat ke Liye Hai____

●●►WITR ki Teeno Raka'aato Me"AL HAMDU" Aur "SURAT" Dono zaroor Padhi jaye

2:-DOWAM----RUKU Aur SAJDE ki TASBEEH Me Sirf EK EK Baar"SUBHAN RABBIYAL AZIM"Aur"SUBHAN RABBIYAL AA'AALA"kahe

3:-SOWAM----Namaze Fajar Me "ATTAHIYYAT"◉☞Aur Yuhi Zohar-Asar-Magrib-Isha-witr-Me Doosri "ATTAHIYYAT" ke Baad "DAROOD SHAREEF" Aur"DUWA E MASURA" ki jagah sirf Ye"Darood shareef" padhe☞''ALLA HUMMA SALLE ALA MUHAMMADIW-WA AALIHI''Padh kar SALAM Fer de


4:-CHAHARUM----Namaze WITR ki Teesri Raka'aat Me"DUWA E QUNUT" ki jagah 3 Baar Ya Ek Baar◉☞''RABBIGFIRLI'' kahe


(FATAWA RIZWIYYA--JILD-3-SAFA--621-622)

Katba Naceez Mohammad Shafeeq raza rizvi

0 Comments